aankhon ko KHwab-nak banana paDa mujhe
āñkhoñ ko ḳhvāb-nāk banānā paḌā mujhe
sau ratjagoñ se rabt baḌhānā paḌā mujhe
shāyad havā thī ek bahāne kī muntazir
kuchh is liye bhī diip jalānā paḌā mujhe
us kī lagā.ī aag ne shahroñ ko aa liyā
mullā ko jā ke diin sikhānā paḌā mujhe
dil shoḳhiyoñ se baaz na aatā thā is liye
us ko dayār-e-ishq meñ laanā paḌā mujhe
suntī nahīñ thī ḳhalq-e-ḳhudā chīḳh chīḳh kar
ab āsmān sar pe uThānā paḌā mujhe
ik tābnāk ishq ke is iḳhtitām par
kuchh dil kā hausla bhī baḌhānā paḌā mujhe
daryāft ek shaḳhs ko karnā thā dosto
sau aa.ine ke sāmne jaanā paḌā mujhe
aankhon ko KHwab-nak banana paDa mujhe
sau ratjagon se rabt baDhana paDa mujhe
shayad hawa thi ek bahane ki muntazir
kuchh is liye bhi dip jalana paDa mujhe
us ki lagai aag ne shahron ko aa liya
mulla ko ja ke din sikhana paDa mujhe
dil shoKHiyon se baz na aata tha is liye
us ko dayar-e-ishq mein lana paDa mujhe
sunti nahin thi KHalq-e-KHuda chiKH chiKH kar
ab aasman sar pe uThana paDa mujhe
ek tabnak ishq ke is iKHtitam par
kuchh dil ka hausla bhi baDhana paDa mujhe
daryaft ek shaKHs ko karna tha dosto
sau aaine ke samne jaana paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.