aankhon ko meri KHwab suhane nahin deta
āñkhoñ ko mirī ḳhvāb suhāne nahīñ detā
vo ab ye ḳharābe bhī basāne nahīñ detā
chal nikle bū-e-gul to kahīñ kī nahīñ rahtī
be-ghar ko yahāñ koī Thikāne nahīñ detā
tasvīr ujāloñ kī dikhātā hai vo mujh ko
ik sham.a magar ghar meñ jalāne nahīñ detā
fardā se na rakh ishrat-e-māzī kī tamanna
ye vaqt kabhī guzre zamāne nahīñ detā
mohtāt hai utnā ki ba-hangām-e-mulāqāt
dīvār takalluf kī girāne nahīñ detā
mañjdhār meñ rakhtā hai mujhe vaqt hamesha
kashtī ko kisī ghaaT lagāne nahīñ detā
aankhon ko meri KHwab suhane nahin deta
wo ab ye KHarabe bhi basane nahin deta
chal nikle bu-e-gul to kahin ki nahin rahti
be-ghar ko yahan koi Thikane nahin deta
taswir ujalon ki dikhata hai wo mujh ko
ek shama magar ghar mein jalane nahin deta
farda se na rakh ishrat-e-mazi ki tamanna
ye waqt kabhi guzre zamane nahin deta
mohtat hai utna ki ba-hangam-e-mulaqat
diwar takalluf ki girane nahin deta
manjdhaar mein rakhta hai mujhe waqt hamesha
kashti ko kisi ghaT lagane nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.