aankhon ko thi jo KHub se bhi KHub-tar talash
āñkhoñ ko thī jo ḳhuub se bhī ḳhūb-tar talāsh
kar paayā aaj tak na koī ham-safar talāsh
har aadmī hai zo.am-e-qayādat meñ mubtalā
kis se kahūñ ki mere liye rāhbar talāsh
Daste haiñ har qadam pe masā.il ke kaale naag
ab aur dasht-e-shahr meñ ajgar na kar talāsh
chehroñ kī bhiiḌ meñ bhī jo pahchān le tujhe
bijlī ke qahqahoñ meñ na kar vo nazar talāsh
lafzoñ ke tiir tarkash-e-lab meñ rakhe haiñ sab
yāroñ kī āstīn meñ ḳhanjar na kar talāsh
jal ke jo ḳhaak ho ga.ī us kā na kar malāl
kar le chaman meñ dūsrī shāḳh-e-shajar talāsh
aatā hai sab nazar magar aatā nahīñ nazar
karte haiñ kuchh bahāna mire chārāgar talāsh
aankhon ko thi jo KHub se bhi KHub-tar talash
kar paya aaj tak na koi ham-safar talash
har aadmi hai zoam-e-qayaadat mein mubtala
kis se kahun ki mere liye rahbar talash
Daste hain har qadam pe masail ke kale nag
ab aur dasht-e-shahr mein ajgar na kar talash
chehron ki bhiD mein bhi jo pahchan le tujhe
bijli ke qahqahon mein na kar wo nazar talash
lafzon ke tir tarkash-e-lab mein rakhe hain sab
yaron ki aastin mein KHanjar na kar talash
jal ke jo KHak ho gai us ka na kar malal
kar le chaman mein dusri shaKH-e-shajar talash
aata hai sab nazar magar aata nahin nazar
karte hain kuchh bahana mere chaaragar talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.