aankhon mein apni ashk-e-nadamat liye hue
āñkhoñ meñ apnī ashk-e-nadāmat liye hue
ham haiñ ajiib rang-e-ibādat liye hue
dozaḳh liye hue kahīñ jannat liye hue
har chiiz hai vo hasb-e-zarūrat liye hue
shauq-e-gunāh kam hai na ḳhauf-e-ḳhudā hai kam
donoñ hī chaar din kī haiñ mohlat liye hue
baiTho na yuuñ ki paañv se chhin jaa.e ye zamīñ
sar par khaḌā hai koī qayāmat liye hue
afsos se ġharaz na koī ḳhauf hai use
vo aadmī hai kaisī karāmat liye hue
hijrat koī dayār-e-haqīqat se kar gayā
ḳhvāboñ ke shahr meñ hai sukūnat liye hue
maiñ chāhtā thā us ko ijāzat na duuñ magar
vo chal paḌā baġhair ijāzat liye hue
aankhon mein apni ashk-e-nadamat liye hue
hum hain ajib rang-e-ibaadat liye hue
dozaKH liye hue kahin jannat liye hue
har chiz hai wo hasb-e-zarurat liye hue
shauq-e-gunah kam hai na KHauf-e-KHuda hai kam
donon hi chaar din ki hain mohlat liye hue
baiTho na yun ki panw se chhin jae ye zamin
sar par khaDa hai koi qayamat liye hue
afsos se gharaz na koi KHauf hai use
wo aadmi hai kaisi karamat liye hue
hijrat koi dayar-e-haqiqat se kar gaya
KHwabon ke shahr mein hai sukunat liye hue
main chahta tha us ko ijazat na dun magar
wo chal paDa baghair ijazat liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.