aankhon mein ashk bhi hain mere lab pe aah bhi
āñkhoñ meñ ashk bhī haiñ mire lab pe aah bhī
dushvār kis qadar hai mohabbat kī raah bhī
ġham hai hameñ to ye hai zamāne ke saath saath
tum bhī badal rahe ho tumhārī nigāh bhī
vo āshnā-e-lafz-e-vafā tak na ho sake
lafz-e-vafā pe ho ga.e ham to tabāh bhī
tark-e-ta.alluqāt ba-sad-shauq kījiye
lekin kuchh is tarah ki rahe rasm-o-rāh bhī
is daur-e-āgahī meñ taraqqī ke bāvajūd
āsāñ nahīñ hayāt se karnā nibāh bhī
aankhon mein ashk bhi hain mere lab pe aah bhi
dushwar kis qadar hai mohabbat ki rah bhi
gham hai hamein to ye hai zamane ke sath sath
tum bhi badal rahe ho tumhaari nigah bhi
wo aashna-e-lafz-e-wafa tak na ho sake
lafz-e-wafa pe ho gae hum to tabah bhi
tark-e-talluqat ba-sad-shauq kijiye
lekin kuchh is tarah ki rahe rasm-o-rah bhi
is daur-e-agahi mein taraqqi ke bawajud
aasan nahin hayat se karna nibah bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.