aankhon mein ashk la ke gunahgar ho gae
aankhon mein ashk la ke gunahgar ho gae
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
āñkhoñ meñ ashk lā ke gunahgār ho ga.e
ḳhvāboñ ke saare qasr bhī mismār ho ga.e
tum qatl bhī karo to koī tazkira nahīñ
ham lab-kushā hue to ḳhatāvār ho ga.e
kal tak ġhubār-e-rāh bhī jin ko na thī nasīb
vo log aaj qāfila-sālār ho ga.e
baiThe haiñ log ghar meñ dukāneñ liye hue
kūche hamāre shahr ke bāzār ho ga.e
phir se tabāh hogī ye duniyā kī anjuman
tūfān-e-nūh aane ke āsār ho ga.e
achchhe-bhale the tum se agar ham mile na the
tum se mile to muft meñ bīmār ho ga.e
aankhon mein ashk la ke gunahgar ho gae
KHwabon ke sare qasr bhi mismar ho gae
tum qatl bhi karo to koi tazkira nahin
hum lab-kusha hue to KHatawar ho gae
kal tak ghubar-e-rah bhi jin ko na thi nasib
wo log aaj qafila-salar ho gae
baiThe hain log ghar mein dukanen liye hue
kuche hamare shahr ke bazar ho gae
phir se tabah hogi ye duniya ki anjuman
tufan-e-nuh aane ke aasar ho gae
achchhe-bhale the tum se agar hum mile na the
tum se mile to muft mein bimar ho gae
- Book : سائبان غزل (Pg. 93)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.