aankhon mein chand KHwab-numa tir gaD gae
āñkhoñ meñ chand ḳhvāb-numā tiir gaḌ ga.e
bahte lahū ke Dar se papoTe sikuḌ ga.e
maiñ aag ke qarīb se guzrā na thā kabhī
ThanDak kī narm dhuup se dhāge udhaḌ ga.e
kuchh beḌiyoñ ne ḳhasta kiyā jism-o-jān ko
manzar tak aate aate mire paañv jhaḌ ga.e
kaisī dalīleñ kaisī munājāt kuchh nahīñ
tujh se bichhaḌnā thā jinheñ ḳhud se bichhaḌ ga.e
māñgī na thī duā kabhī maiñ ne phir ek shab
uThne kī der thī ki mire haath jhaḌ ga.e
aankhon mein chand KHwab-numa tir gaD gae
bahte lahu ke Dar se papoTe sikuD gae
main aag ke qarib se guzra na tha kabhi
ThanDak ki narm dhup se dhage udhaD gae
kuchh beDiyon ne KHasta kiya jism-o-jaan ko
manzar tak aate aate mere panw jhaD gae
kaisi dalilen kaisi munajat kuchh nahin
tujh se bichhaDna tha jinhen KHud se bichhaD gae
mangi na thi dua kabhi main ne phir ek shab
uThne ki der thi ki mere hath jhaD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.