aankhon mein hai par aankh ne dekha nahin abhi
āñkhoñ meñ hai par aañkh ne dekhā nahīñ abhī
vo but jise ki maiñ ne tarāshā nahīñ abhī
lafzoñ ke pattharoñ meñ sanam be-shumār haiñ
mere hī paas soch kā tesha nahīñ abhī
sadiyoñ se naqsh hai jo tasavvur pe shāhkār
kāġhaz pe us kā aks utārā nahīñ abhī
barsoñ se mere sar pe hai TukḌā ik abr kā
jal-bujh chukā hai jism vo barsā nahīñ abhī
jiine se bhar chukā hai dil-e-zār kyā karūñ
marne kī ārzū-o-tamannā nahīñ abhī
mānind-e-mulk-e-rome luTī ghar kī saltanat
yāroñ ye sāneha mujhe bhūlā nahīñ abhī
'shāhid' nigār ḳhāna-e-sad-rañg hai jahāñ
phir bhī vo naqsh aañkh se utrā nahīñ abhī
aankhon mein hai par aankh ne dekha nahin abhi
wo but jise ki main ne tarasha nahin abhi
lafzon ke pattharon mein sanam be-shumar hain
mere hi pas soch ka tesha nahin abhi
sadiyon se naqsh hai jo tasawwur pe shahkar
kaghaz pe us ka aks utara nahin abhi
barson se mere sar pe hai TukDa ek abr ka
jal-bujh chuka hai jism wo barsa nahin abhi
jine se bhar chuka hai dil-e-zar kya karun
marne ki aarzu-o-tamanna nahin abhi
manind-e-mulk-e-rome luTi ghar ki saltanat
yaron ye saneha mujhe bhula nahin abhi
'shahid' nigar KHana-e-sad-rang hai jahan
phir bhi wo naqsh aankh se utra nahin abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.