aankhon mein hain jo KHwab koi jaanta nahin
āñkhoñ meñ haiñ jo ḳhvāb koī jāntā nahīñ
is dil kā iztirāb koī jāntā nahīñ
hai apnī apnī pyaas kā har ek ko ḳhayāl
dariyā bhī hai sarāb koī jāntā nahīñ
ye jānte haiñ log ki anjām kyā huā
kyoñ aayā inqalāb koī jāntā nahīñ
zarre kī raushnī ko samajhte haiñ sab haqīr
hai vo bhī āftāb koī jāntā nahīñ
ik hashr sā bapā hai anāsir ke darmiyāñ
kis meñ hai kitnī taab koī jāntā nahīñ
da.avā to apne ilm kā sab ko hai ai 'ziyā'
kyā chiiz hai kitāb koī jāntā nahīñ
aankhon mein hain jo KHwab koi jaanta nahin
is dil ka iztirab koi jaanta nahin
hai apni apni pyas ka har ek ko KHayal
dariya bhi hai sarab koi jaanta nahin
ye jaante hain log ki anjam kya hua
kyon aaya inqalab koi jaanta nahin
zarre ki raushni ko samajhte hain sab haqir
hai wo bhi aaftab koi jaanta nahin
ek hashr sa bapa hai anasir ke darmiyan
kis mein hai kitni tab koi jaanta nahin
dawa to apne ilm ka sab ko hai ai 'ziya'
kya chiz hai kitab koi jaanta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.