aankhon mein haya aa jati hai honTon pe tabassum late hain
aankhon mein haya aa jati hai honTon pe tabassum late hain
Jameeluddin Aali
MORE BYJameeluddin Aali
āñkhoñ meñ hayā aa jaatī hai hoñToñ pe tabassum laate haiñ
vo mujh pe sitam jab karte haiñ tasvīr-e-karam ban jaate haiñ
ab aap ināyat karne kī taklīf hī kyuuñ farmāte haiñ
din yuuñ bhī guzarne hī Thahre din yuuñ bhī guzar hī jaate haiñ
allāh re ḳhas-o-ḳhāshāk se ye hañs hañs ke chaTānoñ kā kahnā
vo tūfāñ ko kyā samjheñge jo tūfāñ meñ bah jaate haiñ
ik samt musalsal ummīdeñ ik samt musalsal mahrūmī
kab tak ye uThe bār-e-hastī shāne haiñ ki TuuTe jaate haiñ
ab aisī karam kī bātoñ se dabtī haiñ kahīñ dil kī choTeñ
tum jitnā miTāte jaate ho ye naqsh ubharte aate haiñ
is daur-e-pareshānī meñ kabhī vo vaqt bhī aatā hai 'ālī'
kuchh dil bhī dhoke khātā hai kuchh vo bhī karam farmāte haiñ
aankhon mein haya aa jati hai honTon pe tabassum late hain
wo mujh pe sitam jab karte hain taswir-e-karam ban jate hain
ab aap inayat karne ki taklif hi kyun farmate hain
din yun bhi guzarne hi Thahre din yun bhi guzar hi jate hain
allah re KHas-o-KHashak se ye hans hans ke chaTanon ka kahna
wo tufan ko kya samjhenge jo tufan mein bah jate hain
ek samt musalsal ummiden ek samt musalsal mahrumi
kab tak ye uThe bar-e-hasti shane hain ki TuTe jate hain
ab aisi karam ki baaton se dabti hain kahin dil ki choTen
tum jitna miTate jate ho ye naqsh ubharte aate hain
is daur-e-pareshani mein kabhi wo waqt bhi aata hai 'ali'
kuchh dil bhi dhoke khata hai kuchh wo bhi karam farmate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.