aankhon mein ibarat hai aur dil mein kahani hai
āñkhoñ meñ ibārat hai aur dil meñ kahānī hai
aa jaa.e agar vo to us ko hī sunānī hai
ye jitne manāzir haiñ bīnā.ī se bāhar haiñ
āñkhoñ meñ abhī koī tasvīr purānī hai
us chāñd kā paanī meñ bas aks utarnā hai
ik chāñd hai āñkhoñ meñ aur jhiil meñ paanī hai
ehsān uThānā hai yādoñ ke ujāloñ kā
sūraj hai samundar meñ aur raat bitānī hai
kuchh kaam nahīñ tum ko kuchh kaam nahīñ ham ko
baiThe raho bas yūñhī tasvīr banānī hai
aankhon mein ibarat hai aur dil mein kahani hai
aa jae agar wo to us ko hi sunani hai
ye jitne manazir hain binai se bahar hain
aankhon mein abhi koi taswir purani hai
us chand ka pani mein bas aks utarna hai
ek chand hai aankhon mein aur jhil mein pani hai
ehsan uThana hai yaadon ke ujalon ka
suraj hai samundar mein aur raat bitani hai
kuchh kaam nahin tum ko kuchh kaam nahin hum ko
baiThe raho bas yunhi taswir banani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.