aankhon mein ek KHwab hai usko yahin sajaunga
āñkhoñ meñ ik ḳhvāb hai us ko yahīñ sajā.ūñgā
thoḌī zamīñ milī to ik din baaġh lagā.ūñgā
shahr jo tum ye dekh rahe ho is meñ ka.ī haiñ shahr
mere saath zarā niklo to sair karā.ūñgā
mere liye ye dīvār-o-dar jaise haiñ achchhe haiñ
is ghar kī ārā.ish kar ke kise dikhā.ūñgā
saarī duniyā dekh rahī hai ḳhushiyoñ ke ambār
itnī daulat mat de mujh ko kahāñ chhupā.ūñgā
ye jo añdherā phail rahā hai jism-o-jāñ ke biich
aur ghanerā ho jaa.e to diyā jalā.ūñgā
aankhon mein ek KHwab hai us ko yahin sajaunga
thoDi zamin mili to ek din bagh lagaunga
shahr jo tum ye dekh rahe ho is mein kai hain shahr
mere sath zara niklo to sair karaunga
mere liye ye diwar-o-dar jaise hain achchhe hain
is ghar ki aaraish kar ke kise dikhaunga
sari duniya dekh rahi hai KHushiyon ke ambar
itni daulat mat de mujh ko kahan chhupaunga
ye jo andhera phail raha hai jism-o-jaan ke bich
aur ghanera ho jae to diya jalaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.