aankhon mein ek tabassum-e-pinhan ka aks hai
āñkhoñ meñ ik tabassum-e-pinhāñ kā aks hai
chehre pe ek jalva-e-raqsāñ kā aks hai
chashm-e-ġhazāl nargis-e-fattāñ kā aks hai
phūloñ kī sāḳht us lab-e-ḳhandāñ kā aks hai
zulfoñ meñ tīrgī hai amāvas kī raat kī
gāloñ pe jaise sub.h-e-bahārāñ kā aks hai
vo chehra jis se ḳhūbī-e-naqqāsh hai ayaañ
vo chehra jis pe sūra-e-rahmāñ kā aks hai
abrū ko taan rakkhā hai shamshīr kī tarah
mizhgāñ haiñ yā ki ḳhanjar-e-uryāñ kā aks hai
tarshe hue gulāb se yāqūt-rang lab
chāh-e-zaqan hai yā mah-e-tābāñ kā aks hai
dandāñ kī raushnī hai sitāroñ se musta.ār
yā phir nujūm meñ tire dandāñ kā aks hai
qāmat milī hai sarv ko us sarv-qad ke baad
peche kā pech kākul-e-pechāñ kā aks hai
āveza-hā-e-gosh meñ taare jaḌe hue
āñchal meñ sad hazār charāġhāñ kā aks hai
mausūm hai qayām-e-qayāmat se terī chaal
mahshar tujh aise fitna-badāmāñ kā aks hai
mushk-e-ḳhutan sā mahkā huā marmarīñ badan
poshāk hai ki mahr-e-daraḳhshāñ kā aks hai
vo dekhte haiñ ham ko kan-añkhiyoñ se bazm meñ
chehre pe ik ḳhayāl-e-pareshāñ kā aks hai
ye kā.enāt ā.īna-ḳhāna yuuñ hī nahīñ
shash-samt tere husn-e-farāvāñ kā aks hai
shaffāf āsmāñ pe ba-vaqt-e-tulūa-e-shams
us mah-jabīñ ke nūr-e-numāyāñ kā aks hai
is ko mubālaġha na kaheñ aap to hai arz
bāġh-e-bahisht kūcha-e-jānāñ kā aks hai
aankhon mein ek tabassum-e-pinhan ka aks hai
chehre pe ek jalwa-e-raqsan ka aks hai
chashm-e-ghazal nargis-e-fattan ka aks hai
phulon ki saKHt us lab-e-KHandan ka aks hai
zulfon mein tirgi hai amawas ki raat ki
galon pe jaise subh-e-bahaaran ka aks hai
wo chehra jis se KHubi-e-naqqash hai ayan
wo chehra jis pe sura-e-rahman ka aks hai
abru ko tan rakkha hai shamshir ki tarah
mizhgan hain ya ki KHanjar-e-uryan ka aks hai
tarshe hue gulab se yaqut-rang lab
chah-e-zaqan hai ya mah-e-taban ka aks hai
dandan ki raushni hai sitaron se mustaar
ya phir nujum mein tere dandan ka aks hai
qamat mili hai sarw ko us sarw-qad ke baad
peche ka pech kakul-e-pechan ka aks hai
aaweza-ha-e-gosh mein tare jaDe hue
aanchal mein sad hazar charaghan ka aks hai
mausum hai qayam-e-qayamat se teri chaal
mahshar tujh aise fitna-badaman ka aks hai
mushk-e-KHutan sa mahka hua marmarin badan
poshak hai ki mahr-e-daraKHshan ka aks hai
wo dekhte hain hum ko kan-ankhiyon se bazm mein
chehre pe ek KHayal-e-pareshan ka aks hai
ye kaenat aaina-KHana yun hi nahin
shash-samt tere husn-e-farawan ka aks hai
shaffaf aasman pe ba-waqt-e-tulua-e-shams
us mah-jabin ke nur-e-numayan ka aks hai
is ko mubaalagha na kahen aap to hai arz
bagh-e-bahisht kucha-e-jaanan ka aks hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.