aankhon mein intizar ki ghaDiyan liye hue
āñkhoñ meñ intizār kī ghaḌiyāñ liye hue
baiThā huuñ dil meñ kitne hī armāñ liye hue
pal-bhar meñ phuuT saktā hai jazboñ kā ik hujūm
āġhosh meñ hubāb hai tūfāñ liye hue
hasrat-bharī nigāh se bas dekhtā rahā
niklīñ jab us ko saath meñ sakhiyāñ liye hue
maanā ki merī zindagī mushkil meñ hai magar
chaltā huuñ phir bhī ḳhushiyoñ kā sāmāñ liye hue
'jāzil' bahut hī naaz thā jab ishq par tujhe
kyoñ phir rahā hai chaak garebāñ liye hue
aankhon mein intizar ki ghaDiyan liye hue
baiTha hun dil mein kitne hi arman liye hue
pal-bhar mein phuT sakta hai jazbon ka ek hujum
aaghosh mein hubab hai tufan liye hue
hasrat-bhari nigah se bas dekhta raha
niklin jab us ko sath mein sakhiyan liye hue
mana ki meri zindagi mushkil mein hai magar
chalta hun phir bhi KHushiyon ka saman liye hue
'jazil' bahut hi naz tha jab ishq par tujhe
kyon phir raha hai chaak gareban liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.