aankhon mein jab sapne chamke
āñkhoñ meñ jab sapne chamke
jo ojhal the raste chamke
bārish kī būñdoñ meñ aksar
maazī ke kuchh lamhe chamke
baaqī sab to dhuñdlā sā thā
dul.han ke kuchh gahne chamke
jhūTe lafzoñ kī lāsheñ thiiñ
phir kuchh sachche vā'de chamke
sahrāoñ kī dhuul haTī jab
jaane kitne chehre chamke
aankhon mein jab sapne chamke
jo ojhal the raste chamke
barish ki bundon mein aksar
mazi ke kuchh lamhe chamke
baqi sab to dhundla sa tha
dulhan ke kuchh gahne chamke
jhuTe lafzon ki lashen thin
phir kuchh sachche wa'de chamke
sahraon ki dhul haTi jab
jaane kitne chehre chamke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.