aankhon mein jitne chahe samundar bula ke rakh
āñkhoñ meñ jitne chāhe samundar bulā ke rakh
ḳhāk-e-zamīñ se ashk tū apne bachā ke rakh
de shakl koī miTTī ko dast-e-hunar-shanās
koshish ke chaak par abhī ḳhvāhish chaḌhā ke rakh
nāyāb chāhatoñ kā ḳhazāna hai ḳhud vo zaat
maañ kī hathelī chuum ke us par kamā ke rakh
mehnat se sab sameT tū duniyā kā sīm-o-zar
aur sin-rasīda baap ke qadmoñ meñ lā ke rakh
sab kor-chashm log haiñ hālat pe apnī ḳhush
ye 'aql kā charāġh yahāñ par bujhā ke rakh
ehsās-o-fikr kī na ho dhaḌkan 'azāb-e-jāñ
be-jān dil ko aisā khilaunā banā ke rakh
aa dekh haiñ qatīl-e-sitam-hā-e-dostāñ
tarkash meñ tiir saare tū apnī adā ke rakh
mā'lūm thā tujhe ki charāġhoñ meñ dam nahīñ
kis ne kahā thā sāmne in ko havā ke rakh
aankhon mein jitne chahe samundar bula ke rakh
KHak-e-zamin se ashk tu apne bacha ke rakh
de shakl koi miTTi ko dast-e-hunar-shanas
koshish ke chaak par abhi KHwahish chaDha ke rakh
nayab chahaton ka KHazana hai KHud wo zat
man ki hatheli chum ke us par kama ke rakh
mehnat se sab sameT tu duniya ka sim-o-zar
aur sin-rasida bap ke qadmon mein la ke rakh
sab kor-chashm log hain haalat pe apni KHush
ye 'aql ka charagh yahan par bujha ke rakh
ehsas-o-fikr ki na ho dhaDkan 'azab-e-jaan
be-jaan dil ko aisa khilauna bana ke rakh
aa dekh hain qatil-e-sitam-ha-e-dostan
tarkash mein tir sare tu apni ada ke rakh
ma'lum tha tujhe ki charaghon mein dam nahin
kis ne kaha tha samne in ko hawa ke rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.