aankhon mein jo manzar hai wo manzar nahin milta
āñkhoñ meñ jo manzar hai vo manzar nahīñ miltā
kyā vaqt paḌā hai ki mirā ghar nahīñ miltā
duniyā se banātā huuñ to duniyā nahīñ miltī
shīsha huuñ maiñ shīshe se to patthar nahīñ miltā
dekhā to gayā tā.ifa-e-dair-o-haram meñ
aape meñ magar mard-e-qalandar nahīñ miltā
ye kaisī qayāmat hai ki shāhīn bacha bhī
phailā.e havā meñ kahīñ shah-par nahīñ miltā
afkār haiñ yaḳh-basta lahakte nahīñ dekhe
dāmān-e-yaqīñ barq kā ḳhūgar nahīñ miltā
sahrā kī udāsī to simaT aa.ī hai lekin
'rizvāñ' tirī āñkhoñ meñ samundar nahīñ miltā
aankhon mein jo manzar hai wo manzar nahin milta
kya waqt paDa hai ki mera ghar nahin milta
duniya se banata hun to duniya nahin milti
shisha hun main shishe se to patthar nahin milta
dekha to gaya taifa-e-dair-o-haram mein
aape mein magar mard-e-qalandar nahin milta
ye kaisi qayamat hai ki shahin bacha bhi
phailae hawa mein kahin shah-par nahin milta
afkar hain yaKH-basta lahakte nahin dekhe
daman-e-yaqin barq ka KHugar nahin milta
sahra ki udasi to simaT aai hai lekin
'rizwan' teri aankhon mein samundar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.