aankhon mein KHwab si hain yaaden zara zara si
āñkhoñ meñ ḳhvāb sī haiñ yādeñ zarā zarā sī
din par jhukī huī haiñ rāteñ zarā zarā sī
mausam badal ga.e haiñ sab shahr-e-ārzū ke
kyā kar ga.iiñ qayāmat bāteñ zarā zarā sī
ye zindagī kī baazī bāzīgarī nahīñ hai
kyā khel kheltī haiñ māteñ zarā zarā sī
guzre haiñ kārvāñ jab shādāb manziloñ se
qadmoñ meñ rah ga.ī haiñ rāheñ zarā zarā sī
hai sāqī-e-ufuq par baaqī hisāb din kā
gulnār ho ga.ī haiñ shāmeñ zarā zarā sī
hotā nahīñ nazar ko andāza-e-numū bhī
phūloñ meñ dab ga.ī haiñ shāḳheñ zarā zarā sī
un ke lahū meñ utre kyā rang aabrū kā
jo zindagī se rāhat māñgeñ zarā zarā sī
sañbhlā nahīñ chaman se phir naġhma-e-bahārāñ
sar se nikal ga.ī haiñ tāneñ zarā zarā sī
shāyad 'samad' kisī ne dāman rakhā hai lau par
khulne lagīñ havā kī bāheñ zarā zarā sī
aankhon mein KHwab si hain yaaden zara zara si
din par jhuki hui hain raaten zara zara si
mausam badal gae hain sab shahr-e-arzu ke
kya kar gain qayamat baaten zara zara si
ye zindagi ki bazi bazigari nahin hai
kya khel khelti hain maten zara zara si
guzre hain karwan jab shadab manzilon se
qadmon mein rah gai hain rahen zara zara si
hai saqi-e-ufuq par baqi hisab din ka
gulnar ho gai hain shamen zara zara si
hota nahin nazar ko andaza-e-numu bhi
phulon mein dab gai hain shaKHen zara zara si
un ke lahu mein utre kya rang aabru ka
jo zindagi se rahat mangen zara zara si
sanbhla nahin chaman se phir naghma-e-bahaaran
sar se nikal gai hain tanen zara zara si
shayad 'samad' kisi ne daman rakha hai lau par
khulne lagin hawa ki bahen zara zara si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.