aankhon mein koi raat mukammal guzar gai
āñkhoñ meñ koī raat mukammal guzar ga.ī
aa.ī sahar hayāt 'azāboñ se bhar ga.ī
merī qabā-e-jān mirā jism hī to thā
kar ke supurd-e-ḳhāk badan jaañ kidhar ga.ī
va.adā kisī se kar na sake zindagī meñ ham
har baar ruuh vā’da-ḳhilāfī se Dar ga.ī
kho.e rahe ham us ke ḳhayāloñ meñ is tarah
hastī hī apnī dhyān se us ke utar ga.ī
majbūriyoñ kī aag meñ jaltā rahā magar
tārīḳh aadmī kī isī meñ sañvar ga.ī
'bebāk' ham ne ḳhvāb sajā.e to rāt-bhar
tā'bīr zulf-e-yār sī pal meñ bikhar ga.ī
aankhon mein koi raat mukammal guzar gai
aai sahar hayat 'azabon se bhar gai
meri qaba-e-jaan mera jism hi to tha
kar ke supurd-e-KHak badan jaan kidhar gai
wada kisi se kar na sake zindagi mein hum
har bar ruh wa’da-KHilafi se Dar gai
khoe rahe hum us ke KHayalon mein is tarah
hasti hi apni dhyan se us ke utar gai
majburiyon ki aag mein jalta raha magar
tariKH aadmi ki isi mein sanwar gai
'bebak' hum ne KHwab sajae to raat-bhar
ta'bir zulf-e-yar si pal mein bikhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.