aankhon mein le ke yas mujhe dekhne to de
āñkhoñ meñ le ke yaas mujhe dekhne to de
kaun aa rahā hai paas mujhe dekhne to de
dekhegā kaun ḳhaak meñ jauhar chhupe hue
ai shahr-e-nā-shanās mujhe dekhne to de
ye kaun mahv-e-raqs hai yuuñ ābloñ ke saath
dasht aayā kis ko raas mujhe dekhne to de
lab kholtā nahīñ na sahī aañkh to milā
tū ḳhush hai yā udaas mujhe dekhne to de
lāshoñ meñ ek laash se uThne lagī hai kyoñ
phūloñ ke jaisī baas mujhe dekhne to de
maiñ Duub to rahī huuñ magar jānib-e-kanār
jab tak bañdhī hai aas mujhe dekhne to de
kyā hai ḳhumār-e-husn se baḌh kar koī nasha
ye mai hai ye gilās mujhe dekhne to de
phir kaun ro rahā hai kināre furāt ke
hoñToñ pe le ke pyaas mujhe dekhne to de
yuuñ to jahāñ-shanās 'tabassum' har ek hai
hai koī ḳhud-shanās mujhe dekhne to de
aankhon mein le ke yas mujhe dekhne to de
kaun aa raha hai pas mujhe dekhne to de
dekhega kaun KHak mein jauhar chhupe hue
ai shahr-e-na-shanas mujhe dekhne to de
ye kaun mahw-e-raqs hai yun aablon ke sath
dasht aaya kis ko ras mujhe dekhne to de
lab kholta nahin na sahi aankh to mila
tu KHush hai ya udas mujhe dekhne to de
lashon mein ek lash se uThne lagi hai kyon
phulon ke jaisi bas mujhe dekhne to de
main Dub to rahi hun magar jaanib-e-kanar
jab tak bandhi hai aas mujhe dekhne to de
kya hai KHumar-e-husn se baDh kar koi nasha
ye mai hai ye gilas mujhe dekhne to de
phir kaun ro raha hai kinare furaat ke
honTon pe le ke pyas mujhe dekhne to de
yun to jahan-shanas 'tabassum' har ek hai
hai koi KHud-shanas mujhe dekhne to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.