aankhon mein mauj mauj koi sochne laga
āñkhoñ meñ mauj mauj koī sochne lagā
paanī meñ be-sabāt nagar Dūbne lagā
ik shāḳh-e-rañg haat se mausam ke chhuT ga.ī
ḳhālī badan ragoñ meñ koī loTne lagā
hai apne darmiyān koī fasl-e-nāravā
dahlīz pe khaḌā meñ kise sochne lagā
vo rauzan-e-ḳhayāl, sadā, sā.egī samāñ
phir harf zahr zahr zabāñ gholne lagā
maiñ ek barg-e-ḳhushk kabhī kā asīr-e-gard
phir kaun Daal Daal mujhe Tāñkne lagā
maiñ boltā rahā to kisī ne nahīñ sunā
maiñ chup huā to saarā nagar gūñjne lagā
aankhon mein mauj mauj koi sochne laga
pani mein be-sabaat nagar Dubne laga
ek shaKH-e-rang hat se mausam ke chhuT gai
KHali badan ragon mein koi loTne laga
hai apne darmiyan koi fasl-e-narawa
dahliz pe khaDa mein kise sochne laga
wo rauzan-e-KHayal, sada, saegi saman
phir harf zahr zahr zaban gholne laga
main ek barg-e-KHushk kabhi ka asir-e-gard
phir kaun Dal Dal mujhe Tankne laga
main bolta raha to kisi ne nahin suna
main chup hua to sara nagar gunjne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.