aankhon mein meri abr-e-rawan aur tarah ke
āñkhoñ meñ mirī abr-e-ravāñ aur tarah ke
dil meñ bhī ka.ī dasht-e-tapāñ aur tarah ke
haiñ yaas tire tīr-o-kamāñ aur tarah ke
lafzoñ ke sipar mere yahāñ aur tarah ke
ahbāb sunāte haiñ koī aur kahānī
haiñ mere harīfoñ ke bayāñ aur tarah ke
ajdād virāsat meñ ghuTan chhoḌ ga.e haiñ
ta.amīr kareñ ab ke makāñ aur tarah ke
ye baat bahāroñ pe hī mauqūf nahīñ hai
mausam haiñ mire saath javāñ aur tarah ke
tum apne ko kahte ho judā sab se alag sā
ābshār numāyāñ haiñ kahāñ aur tarah ke
ab sho.ala-e-ḳhas kī bhī koī taab nahīñ hai
allāh mire bāñdh samāñ aur tarah ke
andeshe mujhe gher na leñ kaise bhalā ho
guzre haiñ unheñ bhī to gumāñ aur tarah ke
aankhon mein meri abr-e-rawan aur tarah ke
dil mein bhi kai dasht-e-tapan aur tarah ke
hain yas tere tir-o-kaman aur tarah ke
lafzon ke sipar mere yahan aur tarah ke
ahbab sunate hain koi aur kahani
hain mere harifon ke bayan aur tarah ke
ajdad wirasat mein ghuTan chhoD gae hain
tamir karen ab ke makan aur tarah ke
ye baat bahaaron pe hi mauquf nahin hai
mausam hain mere sath jawan aur tarah ke
tum apne ko kahte ho juda sab se alag sa
aabshaar numayan hain kahan aur tarah ke
ab shoala-e-KHas ki bhi koi tab nahin hai
allah mere bandh saman aur tarah ke
andeshe mujhe gher na len kaise bhala ho
guzre hain unhen bhi to guman aur tarah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.