aankhon mein meri dard ka baadal nahin dekha
āñkhoñ meñ mirī dard kā bādal nahīñ dekhā
sahrā ko kabhī logoñ ne jal-thal nahīñ dekhā
bachpan se mire sar pe khaḌī dhuup rahī hai
maiñ ne to kabhī pyaar kā āñchal nahīñ dekhā
har shaḳhs ke chehre pe haiñ uljhan kī lakīreñ
is ahd ke bachchoñ ko bhī chanchal nahīñ dekhā
biivī kī mohabbat ho ki yādoñ kī rifāqat
matlab se tahī maiñ ne koī pal nahīñ dekhā
sach bol ke nuqsān uThātā hai hamesha
'saifī' kī tarah koī bhī pāgal nahīñ dekhā
aankhon mein meri dard ka baadal nahin dekha
sahra ko kabhi logon ne jal-thal nahin dekha
bachpan se mere sar pe khaDi dhup rahi hai
main ne to kabhi pyar ka aanchal nahin dekha
har shaKHs ke chehre pe hain uljhan ki lakiren
is ahd ke bachchon ko bhi chanchal nahin dekha
biwi ki mohabbat ho ki yaadon ki rifaqat
matlab se tahi main ne koi pal nahin dekha
sach bol ke nuqsan uThata hai hamesha
'saifi' ki tarah koi bhi pagal nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.