aankhon mein meri KHwab basar hone laga hai
āñkhoñ meñ mirī ḳhvāb basar hone lagā hai
shāyad tirā nīñdoñ se guzar hone lagā hai
juz tere sabhī se mujhe hone lagī vahshat
itnā tirī chāhat kā asar hone lagā hai
yuuñ dast-e-masīhā.ī rakhā zaḳhmoñ pe tū ne
har zaḳhm mirā rashk-e-qamar hone lagā hai
shāyad mire kamre meñ bhī ab raushnī aa.e
paidā mirī dīvār meñ dar hone lagā hai
talḳhī ye kahāñ kī tire lahje meñ dar aa.ī
har lafz tirā sīna-sipar hone lagā hai
vo aag lagā.ī hai tire hijr ne dil meñ
har lamha judā.ī kā sharar hone lagā hai
ab 'rāz' chhupā.e nahīñ chhuptī mirī vahshat
zāhir pe bhī bātin kā asar hone lagā hai
aankhon mein meri KHwab basar hone laga hai
shayad tera nindon se guzar hone laga hai
juz tere sabhi se mujhe hone lagi wahshat
itna teri chahat ka asar hone laga hai
yun dast-e-masihai rakha zaKHmon pe tu ne
har zaKHm mera rashk-e-qamar hone laga hai
shayad mere kamre mein bhi ab raushni aae
paida meri diwar mein dar hone laga hai
talKHi ye kahan ki tere lahje mein dar aai
har lafz tera sina-sipar hone laga hai
wo aag lagai hai tere hijr ne dil mein
har lamha judai ka sharar hone laga hai
ab 'raaz' chhupae nahin chhupti meri wahshat
zahir pe bhi baatin ka asar hone laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.