aankhon mein jo samae na manzar lapeT de
aankhon mein jo samae na manzar lapeT de
Ahmad Musharraf Khawar
MORE BYAhmad Musharraf Khawar
āñkhoñ meñ jo samā.e na manzar lapeT de
yā merī fikr meñ koī mahshar lapeT de
un kī nigāh-e-mast kā dil meñ surūr hai
saaqī se kah do bāda-o-sāġhar lapeT de
duniyā ko yuuñ ḳhabar to ho ālām-e-zīst kī
kāñToñ ke saath aaj gul-e-tar lapeT de
huuñ mahv-e-ḳhvāb un ke tasavvur kī god meñ
ai vaqt apne dard kā bistar lapeT de
hotā gumāñ hai dekh ke be-tābī-e-nazar
qatre meñ jaise koī samundar lapeT de
ab ham kareñge quvvat-e-bāzū se faisla
munsif tū apne adl kā daftar lapeT de
sahrā se jab palaTne kā imkān hī nahīñ
hañgām-e-rozgār mirā ghar lapeT de
āgāh rah yuuñ sarv-o-sanobar na ban ke jī
aisā na ho ki koī tirā sar lapeT de
bār-e-ilāh kar de atā azm-e-haidarī
yā phir samajh ke harf-e-mukarrar lapeT de
sayyād maiñ jo haar gayā hausle kī jañg
phir ḳhud kahūñgā tujh se mire par lapeT de
aankhon mein jo samae na manzar lapeT de
ya meri fikr mein koi mahshar lapeT de
un ki nigah-e-mast ka dil mein surur hai
saqi se kah do baada-o-saghar lapeT de
duniya ko yun KHabar to ho aalam-e-zist ki
kanTon ke sath aaj gul-e-tar lapeT de
hun mahw-e-KHwab un ke tasawwur ki god mein
ai waqt apne dard ka bistar lapeT de
hota guman hai dekh ke be-tabi-e-nazar
qatre mein jaise koi samundar lapeT de
ab hum karenge quwwat-e-bazu se faisla
munsif tu apne adl ka daftar lapeT de
sahra se jab palaTne ka imkan hi nahin
hangam-e-rozgar mera ghar lapeT de
aagah rah yun sarw-o-sanobar na ban ke ji
aisa na ho ki koi tera sar lapeT de
bar-e-ilah kar de ata azm-e-haidari
ya phir samajh ke harf-e-mukarrar lapeT de
sayyaad main jo haar gaya hausle ki jang
phir KHud kahunga tujh se mere par lapeT de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.