aankhon mein nind nind mein sapna nahin raha
āñkhoñ meñ niiñd niiñd meñ sapnā nahīñ rahā
vo ab kisī bhī duniyā meñ merā nahīñ rahā
jo shaḳhs tere jaane pe mar jaane vaalā thā
vo tere rahte rahte bhī zinda nahīñ rahā
saayā bhī merā raushnī ke chalte saath hai
ab to mujhe kisī pe bharosa nahīñ rahā
pāgal the ham jo lauT ke vāpas bhī aa ga.e
par intizār meñ koī baiThā nahīñ rahā
sab din ke ḳhatm hone se dukh meñ haiñ aur maiñ
ḳhush huuñ diyā jalā to añdherā nahīñ rahā
aankhon mein nind nind mein sapna nahin raha
wo ab kisi bhi duniya mein mera nahin raha
jo shaKHs tere jaane pe mar jaane wala tha
wo tere rahte rahte bhi zinda nahin raha
saya bhi mera raushni ke chalte sath hai
ab to mujhe kisi pe bharosa nahin raha
pagal the hum jo lauT ke wapas bhi aa gae
par intizar mein koi baiTha nahin raha
sab din ke KHatm hone se dukh mein hain aur main
KHush hun diya jala to andhera nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.