aankhon mein teri did ke manzar liye hue
āñkhoñ meñ terī diid ke manzar liye hue
phirte haiñ sar pe boriyā bistar liye hue
pahlī nazar ne aap kī bismil kiyā hameñ
ham aaj tak vo choT haiñ dil par liye hue
kaise kahūñ kahāñ hai mohabbat kahāñ nahīñ
rag rag meñ dauḌtī phire nashtar liye hue
ai ārzū-e-dasht kahīñ to qayām kar
kyuuñ phir rahī hai ḳhvāboñ kā lashkar liye hue
kyā jaane kab kisī se bichhaḌnā paḌe yahāñ
ham jī rahe haiñ dil meñ yahī Dar liye hue
jin se sañbhal na paatā hai chūḌī kā bojh tak
vo phir rahe hai shahar meñ hunter liye hue
hālāñki ibtidā hai mere zauq-e-ishq kī
duniyā khaḌī hai haath meñ patthar liye hue
ik frame meñ jaḌe hue haiñ donoñ ek saath
maiñ sar jhukā.e aur vo ḳhanjar liye hue
ab dar-ba-dar yahāñ se vahāñ ghūmte haiñ ham
palkoñ pe kitne dard ke manzar liye hue
aankhon mein teri did ke manzar liye hue
phirte hain sar pe boriya bistar liye hue
pahli nazar ne aap ki bismil kiya hamein
hum aaj tak wo choT hain dil par liye hue
kaise kahun kahan hai mohabbat kahan nahin
rag rag mein dauDti phire nashtar liye hue
ai aarzu-e-dasht kahin to qayam kar
kyun phir rahi hai KHwabon ka lashkar liye hue
kya jaane kab kisi se bichhaDna paDe yahan
hum ji rahe hain dil mein yahi Dar liye hue
jin se sanbhal na pata hai chuDi ka bojh tak
wo phir rahe hai shahar mein hunter liye hue
haalanki ibtida hai mere zauq-e-ishq ki
duniya khaDi hai hath mein patthar liye hue
ek frame mein jaDe hue hain donon ek sath
main sar jhukae aur wo KHanjar liye hue
ab dar-ba-dar yahan se wahan ghumte hain hum
palkon pe kitne dard ke manzar liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.