aankhon mein tez dhup ke neze gaDe rahe
āñkhoñ meñ tez dhuup ke neze gaḌe rahe
ham tere intizār meñ phir bhī khaḌe rahe
tum ruk ga.e pa sañg kā mela na kam huā
is kārvāñ ke saath musāfir baḌe rahe
mere badan pe sirf havā kā libās thā
terī qabā meñ chāñd sitāre jaḌe rahe
saa.e ko log pūjte aa.e haiñ der se
patte hamesha paañv meñ bikhre paḌe rahe
shāyad vo 'rām' merī tarah bad-nasīb the
jo log tere pyaar kī zid par aḌe rahe
aankhon mein tez dhup ke neze gaDe rahe
hum tere intizar mein phir bhi khaDe rahe
tum ruk gae pa sang ka mela na kam hua
is karwan ke sath musafir baDe rahe
mere badan pe sirf hawa ka libas tha
teri qaba mein chand sitare jaDe rahe
sae ko log pujte aae hain der se
patte hamesha panw mein bikhre paDe rahe
shayad wo 'ram' meri tarah bad-nasib the
jo log tere pyar ki zid par aDe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.