aankhon mein tha pyar labon par nam wafa ka tha
āñkhoñ meñ thā pyaar laboñ par naam vafā kā thā
kal tak to vo shaḳhs bhī bilkul mere jaisā thā
apnī apnī muTThī meñ sab jugnū rakkhe the
lekin sab kī rāhoñ meñ kitnā añdhiyārā thā
āñdhī aane se pahle hī bachche jaag ga.e
raat havāoñ ke chalne meñ shor balā kā thā
halkī sī bauchhār ne saare naqsh miTā Daale
rang hamārī tasvīroñ kā kitnā kachchā thā
pyaas kī shiddat baḌhte hī mālūm huā ham ko
jaan bachāne meñ sāhil se aage dariyā thā
aaj na jaane kyā kuchh dekh ke chup ho jaatā hai
kal tak ye ā.īna bilkul mere jaisā thā
aankhon mein tha pyar labon par nam wafa ka tha
kal tak to wo shaKHs bhi bilkul mere jaisa tha
apni apni muTThi mein sab jugnu rakkhe the
lekin sab ki rahon mein kitna andhiyara tha
aandhi aane se pahle hi bachche jag gae
raat hawaon ke chalne mein shor bala ka tha
halki si bauchhaar ne sare naqsh miTa Dale
rang hamari taswiron ka kitna kachcha tha
pyas ki shiddat baDhte hi malum hua hum ko
jaan bachane mein sahil se aage dariya tha
aaj na jaane kya kuchh dekh ke chup ho jata hai
kal tak ye aaina bilkul mere jaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.