aankhon mein teri chahat ka aisa nasha dekha
āñkhoñ meñ tirī chāhat kā aisā nasha dekhā
maiḳhāne meñ jaise maiñ ne jaam bharā dekhā
vo lab the tire yā vo the mai se bhare pyāle
piite hī use saarī duniyā kā nasha dekhā
chehre pe tire bikhrī zulfoñ kī ghaTā aisī
sāvan meñ qamar ke uupar abr ghirā dekhā
auroñ ke liye jo bhī ho ishq kī taqdīreñ
par maiñ ne to is ke zariye apnā ḳhudā dekhā
ik ḳhvāb jo ham donoñ ne saath meñ dekhā thā
jab aañkh khulī to maiñ ne ḳhud ko judā dekhā
is hijr meñ tanhā.ī se vasl kiyā maiñ ne
is meñ koī maiñ ne dard-o-ġham kā maza dekhā
ye zaḳhm purāne haiñ lekin ye bhare kaise
apnoñ ke sabab se har pal zaḳhm harā dekhā
maut ek tamāshā hai kirdār baneñge sab
duniyā meñ ḳhudā kā bas ye ek vafā dekhā
taftīsh meñ 'kātib' ne ye ziist guzārī par
har ek qadam par ḳhud kā shauq nayā dekhā
aankhon mein teri chahat ka aisa nasha dekha
maiKHane mein jaise main ne jam bhara dekha
wo lab the tere ya wo the mai se bhare pyale
pite hi use sari duniya ka nasha dekha
chehre pe tere bikhri zulfon ki ghaTa aisi
sawan mein qamar ke upar abr ghira dekha
auron ke liye jo bhi ho ishq ki taqdiren
par main ne to is ke zariye apna KHuda dekha
ek KHwab jo hum donon ne sath mein dekha tha
jab aankh khuli to main ne KHud ko juda dekha
is hijr mein tanhai se wasl kiya main ne
is mein koi main ne dard-o-gham ka maza dekha
ye zaKHm purane hain lekin ye bhare kaise
apnon ke sabab se har pal zaKHm hara dekha
maut ek tamasha hai kirdar banenge sab
duniya mein KHuda ka bas ye ek wafa dekha
taftish mein 'katib' ne ye zist guzari par
har ek qadam par KHud ka shauq naya dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.