aankhon mein uski Dub ke ubhra nahin hun main
āñkhoñ meñ us kī Duub ke ubhrā nahīñ huuñ maiñ
jis ne bhulā diyā use bhūlā nahīñ huuñ maiñ
ab lamha lamha apne bikharne kā ḳhauf hai
ġhunche kī tarah band huuñ khultā nahīñ huuñ maiñ
pīchhe palaT ke dekhā to parchhā.īñ bhī na thī
sochā thā rāh-e-shauq meñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
ye sochtā huuñ kaise rahūñgā tumhāre saath
aksar to apne saath bhī rahtā nahīñ huuñ maiñ
'fāḳhir' isī galī meñ milegā dil-e-ḳharāb
lekin ab is galī se guzartā nahīñ huuñ maiñ
aankhon mein us ki Dub ke ubhra nahin hun main
jis ne bhula diya use bhula nahin hun main
ab lamha lamha apne bikharne ka KHauf hai
ghunche ki tarah band hun khulta nahin hun main
pichhe palaT ke dekha to parchhain bhi na thi
socha tha rah-e-shauq mein tanha nahin hun main
ye sochta hun kaise rahunga tumhaare sath
aksar to apne sath bhi rahta nahin hun main
'faKHir' isi gali mein milega dil-e-KHarab
lekin ab is gali se guzarta nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.