aankhon pe mar gaya hun ya husn-e-kamal par
āñkhoñ pe mar gayā huuñ yā husn-e-kamāl par
aTkā huā huuñ kab se maiñ bas is savāl par
miTTī kī kis pe hotī hai taqdīr munhasir
kūza-garoñ ke haath pe pahiye kī chaal par
āñkhoñ ko us kī dekh ke aisā lagā mujhe
us ke bahut savāl haiñ mere savāl par
ab aap kī nasīhatoñ se bhar gayā hai man
so chhoḌ dījiye mujhe mere hī haal par
kahte the ḳhair-ḳhvāh jo ḳhud ko kabhī merā
chhup-chhup ke hañs rahe haiñ vo mere zavāl par
is shart pe hī dūñgā tujhe apne saare rang
gustāḳh nazreñ na gireñ raanī gulāl par
aankhon pe mar gaya hun ya husn-e-kamal par
aTka hua hun kab se main bas is sawal par
miTTi ki kis pe hoti hai taqdir munhasir
kuza-garon ke hath pe pahiye ki chaal par
aankhon ko us ki dekh ke aisa laga mujhe
us ke bahut sawal hain mere sawal par
ab aap ki nasihaton se bhar gaya hai man
so chhoD dijiye mujhe mere hi haal par
kahte the KHair-KHwah jo KHud ko kabhi mera
chhup-chhup ke hans rahe hain wo mere zawal par
is shart pe hi dunga tujhe apne sare rang
gustaKH nazren na giren rani gulal par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.