aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main
āñkhoñ pe shab raqam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
ai ḳhvāb terā ġham bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
ik mustaqil safar hai tirī aarzū mujhe
aur ḳhud ko tāza-dam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
us ko ḳhudā banāne kī zid par aḌā hai tū
ai dil jise sanam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
sabza bhī chāhtī haiñ tasavvur kī ḳhaak par
vo āñkheñ jin ko nam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
ik jaan hai jo nazr guzārī na jā.egī
ik sar hai jis ko ḳham bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
terī kamī meñ roz izāfa karegī umr
aur is kamī ko kam bhī nahīñ kar sakūñgā maiñ
aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main
ai KHwab tera gham bhi nahin kar sakunga main
ek mustaqil safar hai teri aarzu mujhe
aur KHud ko taza-dam bhi nahin kar sakunga main
us ko KHuda banane ki zid par aDa hai tu
ai dil jise sanam bhi nahin kar sakunga main
sabza bhi chahti hain tasawwur ki KHak par
wo aankhen jin ko nam bhi nahin kar sakunga main
ek jaan hai jo nazr guzari na jaegi
ek sar hai jis ko KHam bhi nahin kar sakunga main
teri kami mein roz izafa karegi umr
aur is kami ko kam bhi nahin kar sakunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.