aankhon se aankhon tak ke ishaare se dur rah
āñkhoñ se āñkhoñ tak ke ishāre se duur rah
gar ho sake to aise sharāre se duur rah
ganda karegā vo tujhe paañv bachā ke chal
ai shaḳhs raah meñ paḌe gaare se duur rah
kar shukr bas usī kā jo hai mil gayā tujhe
ye ziist hai to is ke ḳhasāre se duur rah
apne diloñ meñ nafrateñ paale hue haiñ log
ai shaḳhs tū kisī ke sahāre se duur rah
jab duur jā sakegā na ro.egā phir bahut
ai 'shoḳh' is liye tū hamāre se duur rah
aankhon se aankhon tak ke ishaare se dur rah
gar ho sake to aise sharare se dur rah
ganda karega wo tujhe panw bacha ke chal
ai shaKHs rah mein paDe gare se dur rah
kar shukr bas usi ka jo hai mil gaya tujhe
ye zist hai to is ke KHasare se dur rah
apne dilon mein nafraten pale hue hain log
ai shaKHs tu kisi ke sahaare se dur rah
jab dur ja sakega na roega phir bahut
ai 'shoKH' is liye tu hamare se dur rah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.