aankhon se agar silsila-e-KHwab na TuTe
āñkhoñ se agar silsila-e-ḳhvāb na TuuTe
phir to kisī 'unvāñ dil-e-betāb na TuuTe
andher hai maiḳhāne ke ādāb na TuuTe
dil Tuut ga.e jām-e-mai-e-nāb na TuuTe
ho jaa.e na iz.hār-e-kudūrat kisī sūrat
ai dost ye alfāz kī mehrāb na TuuTe
har nashtar-e-tafrīq ne marham kā kiyā kaam
toḌe ga.e lekin mire ahbāb na TuuTe
kuchh ābrū-e-sahn-e-chaman kā bhī rahe paas
ab shāḳh se koī gul-e-shādāb na TuuTe
phir gardish-e-daurāñ se ulajhnā nahīñ mushkil
ġhurbat meñ jo pindār-e-tab-o-tāb na TuuTe
gahrā.ī-e-dariyā kā bharam rah gayā 'bismil'
achchhā hī huā gauhar-e-kamyāb na TuuTe
aankhon se agar silsila-e-KHwab na TuTe
phir to kisi 'unwan dil-e-betab na TuTe
andher hai maiKHane ke aadab na TuTe
dil Tut gae jam-e-mai-e-nab na TuTe
ho jae na izhaar-e-kudurat kisi surat
ai dost ye alfaz ki mehrab na TuTe
har nashtar-e-tafriq ne marham ka kiya kaam
toDe gae lekin mere ahbab na TuTe
kuchh aabru-e-sahn-e-chaman ka bhi rahe pas
ab shaKH se koi gul-e-shadab na TuTe
phir gardish-e-dauran se ulajhna nahin mushkil
ghurbat mein jo pindar-e-tab-o-tab na TuTe
gahrai-e-dariya ka bharam rah gaya 'bismil'
achchha hi hua gauhar-e-kamyab na TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.