aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai
āñkhoñ se baraste ashkoñ kī barsāt pe ronā aatā hai
nādānī-e-ulfat kar baiThe is baat pe ronā aatā hai
har saañs hai ik talvār banī har nafs hai ġham kā paimāna
karte haiñ mohabbat jo un ko kāñToñ pe bhī sonā aatā hai
ab dil ko hai samjhānā mushkil jo TuuT gayā so TuuT gayā
kyā baat banegī hañsne se hañste haiñ to ronā aatā hai
baḳhshe haiñ tū ne laakh sitam ġham mujh ko diye haiñ terā karam
ham ko bhī ġhamoñ ke tīroñ ko siine meñ chubhonā aatā hai
bahte hue ashko ruk jaao armān ke dhāro tham jaao
dekho to tasavvur meñ mere sājan vo salonā aatā hai
aankhon se baraste ashkon ki barsat pe rona aata hai
nadani-e-ulfat kar baiThe is baat pe rona aata hai
har sans hai ek talwar bani har nafs hai gham ka paimana
karte hain mohabbat jo un ko kanTon pe bhi sona aata hai
ab dil ko hai samjhana mushkil jo TuT gaya so TuT gaya
kya baat banegi hansne se hanste hain to rona aata hai
baKHshe hain tu ne lakh sitam gham mujh ko diye hain tera karam
hum ko bhi ghamon ke tiron ko sine mein chubhona aata hai
bahte hue ashko ruk jao arman ke dhaaro tham jao
dekho to tasawwur mein mere sajan wo salona aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.