aankhon se jin ki ashk nikalte nahin wo log
āñkhoñ se jin kī ashk nikalte nahīñ vo log
rone lageñ agar to sambhalte nahīñ vo log
vo log jin se dard kā rishta thā ustuvār
duniyā badal ga.ī hai badalte nahīñ vo log
ābād jin ke dam se hue koh aur dasht
kyā hotā gar gharoñ se nikalte nahīñ vo log
vo jin pe chaḌh gayā kabhī dard-o-alam kā rañg
bazm-e-tarab ke rañg meñ Dhalte nahīñ vo log
ushshāq par zamāne kā ye jaur ye sitam
hāthoñ meñ ik kalī bhī masalte nahīñ vo log
ahl-e-qalam se shaah ko hai mas.ala to ye
qissa kahāniyoñ se bahalte nahīñ vo log
aankhon se jin ki ashk nikalte nahin wo log
rone lagen agar to sambhalte nahin wo log
wo log jin se dard ka rishta tha ustuwar
duniya badal gai hai badalte nahin wo log
aabaad jin ke dam se hue koh aur dasht
kya hota gar gharon se nikalte nahin wo log
wo jin pe chaDh gaya kabhi dard-o-alam ka rang
bazm-e-tarab ke rang mein Dhalte nahin wo log
ushshaq par zamane ka ye jaur ye sitam
hathon mein ek kali bhi masalte nahin wo log
ahl-e-qalam se shah ko hai masala to ye
qissa kahaniyon se bahalte nahin wo log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.