aankhon se kisi KHwab ka rishta hi nahin tha
āñkhoñ se kisī ḳhvāb kā rishta hī nahīñ thā
is aa.ine meñ aks Thahartā hī nahīñ thā
kyoñ dekh rahā thā use chup-chāp zamāna
ruḳhsat jo huā sirf hamārā hī nahīñ thā
mehmān banāyā hī nahīñ dasht ne varna
retoñ se judā.ī kā irāda hī nahīñ thā
vo chhoḌ gayā shahr to kyoñ dil meñ chubhan hai
us par to hamārā koī da.avā hī nahīñ thā
mansūb use karte ho kyoñ ham se rafīqo
aisā to koī biich meñ va.ada hī nahīñ thā
ye soch ke is raah meñ ham ho ga.e tanhā
is bhiiḌ meñ apnā koī chehra hī nahīñ thā
ham shahr-e-sitamgar ko kahāñ chhoḌ ke jaate
jab is ke alāva koī sahrā hī nahīñ thā
patthar na huā mom 'fahīm' ab to ye maano
ḳhurshīd-e-hunar meñ koī sho.ala hī nahīñ thā
aankhon se kisi KHwab ka rishta hi nahin tha
is aaine mein aks Thaharta hi nahin tha
kyon dekh raha tha use chup-chap zamana
ruKHsat jo hua sirf hamara hi nahin tha
mehman banaya hi nahin dasht ne warna
reton se judai ka irada hi nahin tha
wo chhoD gaya shahr to kyon dil mein chubhan hai
us par to hamara koi dawa hi nahin tha
mansub use karte ho kyon hum se rafiqo
aisa to koi bich mein wada hi nahin tha
ye soch ke is rah mein hum ho gae tanha
is bhiD mein apna koi chehra hi nahin tha
hum shahr-e-sitamgar ko kahan chhoD ke jate
jab is ke alawa koi sahra hi nahin tha
patthar na hua mom 'fahim' ab to ye mano
KHurshid-e-hunar mein koi shoala hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.