aankhon se laga lo meri andaza-e-wahshat
āñkhoñ se lagā lo mirī andāza-e-vahshat
tum khol nahīñ pāoge darvāza-e-vahshat
har aan sañvartī huī āshufta-mizājī
har lahza bikhartā huā shīrāza-e-vahshat
tā-hadd-e-nazar chāroñ taraf zard udāsī
andar kī taraf khul gayā darvāza-e-vahshat
hai tum ko qasam dasht meñ muḌ kar nahīñ taknā
aa.e bhī to hogā faqat āvāza-e-vahshat
aankhon se laga lo meri andaza-e-wahshat
tum khol nahin paoge darwaza-e-wahshat
har aan sanwarti hui aashufta-mizaji
har lahza bikharta hua shiraaza-e-wahshat
ta-hadd-e-nazar chaaron taraf zard udasi
andar ki taraf khul gaya darwaza-e-wahshat
hai tum ko qasam dasht mein muD kar nahin takna
aae bhi to hoga faqat aawaza-e-wahshat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.