aankhon se nur dil se KHushi chhin li gai
āñkhoñ se nuur dil se ḳhushī chhīn lī ga.ī
ham se hamārī zinda-dilī chhīn lī ga.ī
ik roz ittifāq se ham muskurā.e the
is kī sazā meñ ham se hañsī chhīn lī ga.ī
kitne charāġh nuur se mahrūm ho ga.e
jab se hamārī ḳhush-nazarī chhīn lī ga.ī
shikva mirā mizāj na mātam mirī sarisht
har-chand mujh se ḳhanda-labī chhīn lī ga.ī
'iqbāl' is ḳhushī kā bharosa bhī kuchh na thā
achchhā huā ye dard-sarī chhīn lī ga.ī
aankhon se nur dil se KHushi chhin li gai
hum se hamari zinda-dili chhin li gai
ek roz ittifaq se hum muskurae the
is ki saza mein hum se hansi chhin li gai
kitne charagh nur se mahrum ho gae
jab se hamari KHush-nazari chhin li gai
shikwa mera mizaj na matam meri sarisht
har-chand mujh se KHanda-labi chhin li gai
'iqbaal' is KHushi ka bharosa bhi kuchh na tha
achchha hua ye dard-sari chhin li gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.