aankhon se rawan kyon hai mera KHun-e-jigar aaj
aankhon se rawan kyon hai mera KHun-e-jigar aaj
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
āñkhoñ se ravāñ kyoñ hai mirā ḳhūn-e-jigar aaj
shāyad ki huā dil hadaf-e-tīr-e-nazar aaj
kyā dil kī lagī hijr meñ ashkoñ se bujhegī
kyā terā bharosā ho mujhe dīda-e-tar aaj
rah rah ke jo yaad aatā hai ik bhūlne vaalā
tham tham ke kuchh uThtā hai mirā dard-e-jigar aaj
afsos yahī hai ki ḳharīdār haiñ mafqūd
har ashk kā qatra hai mirā rashk-e-guhar aaj
baḌhtī hī chalī jaatī hai saa.at hai jo us kī
shāyad ki na hogī shab-e-furqat kī sahar aaj
vo sub.h se ghabrā.e hue phirte haiñ ghar meñ
dikhlātī hai tāsīr mirī āh-e-jigar aaj
yā kal the kisī bazm meñ ham zīnat-e-mahfil
yā misl bagūle ke hue ḳhāk-basar aaj
ik samt haiñ armān to ik samt tamanna
is shaan se ham jaate haiñ allāh ke ghar aaj
pahlū se jo phir uTh ke vo 'mas.ūd' gayā hai
hai sub.h se phir haal mirā nau-e-digar aaj
aankhon se rawan kyon hai mera KHun-e-jigar aaj
shayad ki hua dil hadaf-e-tir-e-nazar aaj
kya dil ki lagi hijr mein ashkon se bujhegi
kya tera bharosa ho mujhe dida-e-tar aaj
rah rah ke jo yaad aata hai ek bhulne wala
tham tham ke kuchh uThta hai mera dard-e-jigar aaj
afsos yahi hai ki KHaridar hain mafqud
har ashk ka qatra hai mera rashk-e-guhar aaj
baDhti hi chali jati hai saat hai jo us ki
shayad ki na hogi shab-e-furqat ki sahar aaj
wo subh se ghabrae hue phirte hain ghar mein
dikhlati hai tasir meri aah-e-jigar aaj
ya kal the kisi bazm mein hum zinat-e-mahfil
ya misl bagule ke hue KHak-basar aaj
ek samt hain arman to ek samt tamanna
is shan se hum jate hain allah ke ghar aaj
pahlu se jo phir uTh ke wo 'masud' gaya hai
hai subh se phir haal mera nau-e-digar aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.