aankhon se riste pani ki baat batani mushkil hai
āñkhoñ se riste paanī kī baat batānī mushkil hai
paar samundar jaane vaale priit nibhānī mushkil hai
rātoñ raat nikālī tum ne duur nikalne kī sūrat
phir kahte ho tum se to ummīd lagānī mushkil hai
sab sapnoñ ko aag lagā kar kahte ho ābād raho
jān-e-jānāñ ab qismat meñ rañg-fishānī mushkil hai
thoḌā ruk kar talab karo tum sab hālāt sunā.ūñgī
rote rote TuuTe dil kī hāl-bayānī mushkil hai
aankhon se riste pani ki baat batani mushkil hai
par samundar jaane wale prit nibhani mushkil hai
raaton raat nikali tum ne dur nikalne ki surat
phir kahte ho tum se to ummid lagani mushkil hai
sab sapnon ko aag laga kar kahte ho aabaad raho
jaan-e-jaanan ab qismat mein rang-fishani mushkil hai
thoDa ruk kar talab karo tum sab haalat sunaungi
rote rote TuTe dil ki haal-bayani mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.