aankhon se utar kar mere dil tak koi aae
āñkhoñ se utar kar mire dil tak koī aa.e
us dar pe bhī dene kabhī dastak koī aa.e
pahle to baḌe daam batātā thā vo dil ke
ab aas meñ baiThā hai ki gāhak koī aa.e
har baar maiñ duniyā ke bulāve pe gayā huuñ
is baar ye ḳhvāhish hai ki mujh tak koī aa.e
ab ek sā mausam to hamesha nahīñ rahtā
mumkin hai kisī roz achānak koī aa.e
ahbāb ke qadmoñ ko tarastī hai mirī shaam
khole hue baiThā huuñ maiñ baiThak koī aa.e
is dil ke makāñ kā maiñ 'hasan' pahlā makīñ huuñ
aatā hai mire ba.ad to be-shak koī aa.e
aankhon se utar kar mere dil tak koi aae
us dar pe bhi dene kabhi dastak koi aae
pahle to baDe dam batata tha wo dil ke
ab aas mein baiTha hai ki gahak koi aae
har bar main duniya ke bulawe pe gaya hun
is bar ye KHwahish hai ki mujh tak koi aae
ab ek sa mausam to hamesha nahin rahta
mumkin hai kisi roz achanak koi aae
ahbab ke qadmon ko tarasti hai meri sham
khole hue baiTha hun main baiThak koi aae
is dil ke makan ka main 'hasan' pahla makin hun
aata hai mere baad to be-shak koi aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.