aankhon se yaadon ka dariya bahta hai
āñkhoñ se yādoñ kā dariyā bahtā hai
ḳhvāb hamesha mujh meñ us kā rahtā hai
har titlī phūloñ se kahtī rahtī hai
vo aa.e to baaġh sunahrā lagtā hai
maiñ us ko khiḌkī se taktā rahtā huuñ
us ke ghar ke bāhar pahra rahtā hai
sahrāoñ meñ majnūñ pyaas bujhāne ko
aañsū kī būñdoñ ko ikaTThā kartā hai
us ke baare meñ sunñe ko aaya hai
vo shīshe se patthar toḌā kartā hai
aankhon se yaadon ka dariya bahta hai
KHwab hamesha mujh mein us ka rahta hai
har titli phulon se kahti rahti hai
wo aae to bagh sunahra lagta hai
main us ko khiDki se takta rahta hun
us ke ghar ke bahar pahra rahta hai
sahraon mein majnun pyas bujhane ko
aansu ki bundon ko ikaTTha karta hai
us ke bare mein sunne ko aaya hai
wo shishe se patthar toDa karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.