aansuon ka ek halqa khinch kar
āñsuoñ kā ek halqa khīñch kar
but banā baiThā huuñ sadma khīñch kar
ek kar Daalā hai sab māzī-o-hāl
vaqt kī Dorī ko thoḌā khīñch kar
pyaas ko bahlā rahā huuñ der se
ret par tasvīr-e-dariyā khīñch kar
multavī karte rahe ham maut ko
ik zarā sāñsoñ ko ulTā khīñch kar
jald le jā yaar mustaqbil mire
haal se saarā guzishta khīñch kar
band kar detā huuñ miTTī ke kivāḌ
ik zarā sā āb-e-tāza khīñch kar
lā mirī pahchān vāpas kar mujhe
varna dūñgā ḳhālī chehra khīñch kar
maiñ bhī miTTī kī tarah mazbūt huuñ
dekh le saarā zamāna khīñch kar
āḳhir-e-kār apnī āñkheñ band kiiñ
ek sard āh-e-tamāsha khīñch kar
'farhat-ehsās' ek maqnātīs hai
le gayā hai jaane kyā kyā khīñch kar
aansuon ka ek halqa khinch kar
but bana baiTha hun sadma khinch kar
ek kar Dala hai sab mazi-o-haal
waqt ki Dori ko thoDa khinch kar
pyas ko bahla raha hun der se
ret par taswir-e-dariya khinch kar
multawi karte rahe hum maut ko
ek zara sanson ko ulTa khinch kar
jald le ja yar mustaqbil mere
haal se sara guzishta khinch kar
band kar deta hun miTTi ke kiwaD
ek zara sa aab-e-taza khinch kar
la meri pahchan wapas kar mujhe
warna dunga KHali chehra khinch kar
main bhi miTTi ki tarah mazbut hun
dekh le sara zamana khinch kar
aaKHir-e-kar apni aankhen band kin
ek sard aah-e-tamasha khinch kar
'farhat-ehsas' ek maqnatis hai
le gaya hai jaane kya kya khinch kar
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 50)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.