aansuon ko tirgi ke kaam mein laya karo
āñsuoñ ko tīrgī ke kaam meñ laayā karo
ye sitāre raushnī ke kaam meñ laayā karo
zindagī ko kaam meñ laanā bahut āsān hai
maut ko bhī zindagī ke kaam meñ laayā karo
āsmāñ ko chiir kar pahuñchegī dil kī har sadā
dhaḌkanoñ ko bandagī ke kaam meñ laayā karo
ashk ban kar jo bahā kartā hai rāh-e-'ishq meñ
us lahū ko shā'irī ke kaam meñ laayā karo
paas rakh kar kyā karoge tum miyāñ ‘ahmad-ra.īs'
apnī daulat ko sabhī ke kaam meñ laayā karo
aansuon ko tirgi ke kaam mein laya karo
ye sitare raushni ke kaam mein laya karo
zindagi ko kaam mein lana bahut aasan hai
maut ko bhi zindagi ke kaam mein laya karo
aasman ko chir kar pahunchegi dil ki har sada
dhaDkanon ko bandagi ke kaam mein laya karo
ashk ban kar jo baha karta hai rah-e-'ishq mein
us lahu ko sha'iri ke kaam mein laya karo
pas rakh kar kya karoge tum miyan ‘ahmad-rais'
apni daulat ko sabhi ke kaam mein laya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.