aansuon mein kabhi Dhali hai raat
āñsuoñ meñ kabhī Dhalī hai raat
dard ban ke kabhī uThī hai raat
koī sūraj kahīñ se aa jaa.e
kitnī vīrān ho ga.ī hai raat
sub.h se ham-kalām hone ko
ziina ziina utar rahī hai raat
phir ujāloñ kā ḳhuuñ huā shāyad
qatl-gāhoñ meñ baT ga.ī hai raat
dil meñ kohrām kam na hogā 'asar'
tum bhī so jaao so ga.ī hai raat
aansuon mein kabhi Dhali hai raat
dard ban ke kabhi uThi hai raat
koi suraj kahin se aa jae
kitni viran ho gai hai raat
subh se ham-kalam hone ko
zina zina utar rahi hai raat
phir ujalon ka KHun hua shayad
qatl-gahon mein baT gai hai raat
dil mein kohram kam na hoga 'asar'
tum bhi so jao so gai hai raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.