aansuon mein zara si hansi ghol kar
āñsuoñ meñ zarā sī hañsī ghol kar
zahr us ne diyā zindagī ghol kar
us ke chehre pe likhnā hai koī ġhazal
raushnā.ī meñ kuchh chāñdnī ghol kar
ek kār-e-ziyāñ ke sivā kuchh nahīñ
dekh lī shor meñ ḳhāmushī ghol kar
daur-e-hāzir ke sachche ġhazal-kār ham
ek lamhe meñ laa.e sadī ghol kar
ek aḳhbār bhī aaj aisā nahīñ
de ḳhabar sub.h kī raushnī ghol kar
dhuup kī teziyāñ kuchh to maddham paḌīñ
dekhiye mausamoñ kī namī ghol kar
narm lafzoñ meñ ho zikr-e-begāngī
baat kaḌvī kaho chāshnī ghol kar
aansuon mein zara si hansi ghol kar
zahr us ne diya zindagi ghol kar
us ke chehre pe likhna hai koi ghazal
raushnai mein kuchh chandni ghol kar
ek kar-e-ziyan ke siwa kuchh nahin
dekh li shor mein KHamushi ghol kar
daur-e-hazir ke sachche ghazal-kar hum
ek lamhe mein lae sadi ghol kar
ek aKHbar bhi aaj aisa nahin
de KHabar subh ki raushni ghol kar
dhup ki teziyan kuchh to maddham paDin
dekhiye mausamon ki nami ghol kar
narm lafzon mein ho zikr-e-begangi
baat kaDwi kaho chashni ghol kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.