aansuon ne bhi to kar di hai taraf-dari dekh
aansuon ne bhi to kar di hai taraf-dari dekh
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
āñsuoñ ne bhī to kar dī hai taraf-dārī dekh
mujhe mat dekh mirī aañkh kī dushvārī dekh
shaam Dhalte hī charāġhoñ kī tarah jaltī haiñ
ya.anī bas aañkh nahīñ aañkh kī bedārī dekh
maiñ tire hijr meñ hañstā huuñ to hairat kaisī
mujhe mat dekh mirī jaan adā-kārī dekh
maiñ ne alfāz baratne meñ lahū ḳharch kiyā
ab tirā farz hai tū sher kī tahdārī dekh
mere hoñToñ ke tabassum se na andāza lagā
kis qadar māthe pe rakkhī hai shikan bhārī dekh
tere chhūne se mirī nabz bhī ruk jaatī hai
aa mujhe haath lagā aur kalā-kārī dekh
tere kahne ke sabab sochā na manzil ke ta.iiñ
ghar se niklā to abhī tak hai safar jaarī dekh
aansuon ne bhi to kar di hai taraf-dari dekh
mujhe mat dekh meri aankh ki dushwari dekh
sham Dhalte hi charaghon ki tarah jalti hain
yani bas aankh nahin aankh ki bedari dekh
main tere hijr mein hansta hun to hairat kaisi
mujhe mat dekh meri jaan ada-kari dekh
main ne alfaz baratne mein lahu KHarch kiya
ab tera farz hai tu sher ki tahdari dekh
mere honTon ke tabassum se na andaza laga
kis qadar mathe pe rakkhi hai shikan bhaari dekh
tere chhune se meri nabz bhi ruk jati hai
aa mujhe hath laga aur kala-kari dekh
tere kahne ke sabab socha na manzil ke tain
ghar se nikla to abhi tak hai safar jari dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.