aansuon se dil ke in daghon ko dho leta hun main
aansuon se dil ke in daghon ko dho leta hun main
Hairat Farrukhabadi
MORE BYHairat Farrukhabadi
āñsuoñ se dil ke in dāġhoñ ko dho letā huuñ maiñ
dard jab had se guzar jaatā hai ro letā huuñ maiñ
jab satātī hai kisī kī yaad tanhā.ī ke vaqt
āñsuoñ ke haar palkoñ se piro letā huuñ maiñ
shiddat-e-ehsās-e-ġham se jab bhī ghabrātā hai dil
āñsuoñ meñ apnī aahoñ ko Dubo letā huuñ maiñ
dard-e-ulfat dard-e-duniyā aur ye nanhā sā dil
ek kuuze meñ samundar ko samo letā huuñ maiñ
vahshateñ vīrāniyāñ jis dam satātī haiñ mujhe
yaad ke takiye pe sar rakh kar ke so letā huuñ maiñ
vahshat-e-dil kā ye aalam hai ki dushman ho yā dost
jo bhī mil jaatā hai us ke saath ho letā huuñ maiñ
haa.e vo lamhe aziyyat-kosh 'hairat' kyā kahūñ
jab ḳhamoshī meñ zabāñ hote haiñ ro letā huuñ maiñ
aansuon se dil ke in daghon ko dho leta hun main
dard jab had se guzar jata hai ro leta hun main
jab satati hai kisi ki yaad tanhai ke waqt
aansuon ke haar palkon se piro leta hun main
shiddat-e-ehsas-e-gham se jab bhi ghabraata hai dil
aansuon mein apni aahon ko Dubo leta hun main
dard-e-ulfat dard-e-duniya aur ye nanha sa dil
ek kuze mein samundar ko samo leta hun main
wahshaten viraniyan jis dam satati hain mujhe
yaad ke takiye pe sar rakh kar ke so leta hun main
wahshat-e-dil ka ye aalam hai ki dushman ho ya dost
jo bhi mil jata hai us ke sath ho leta hun main
hae wo lamhe aziyyat-kosh 'hairat' kya kahun
jab KHamoshi mein zaban hote hain ro leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.